RAJDHANI GAIRSEIN-----------
PARVATIYA RAJYA UTTARAKHAND KE LIYE
AITIHASIK DIN 14th JAN.MAKAR SANKRANTI 2013
Nav varsh per makar sankranti ke din parvatiya rajya uttarakhand ke itihaas mein ek nayee ibaarat likhi jani hei,isi din rajya ki rajdhani gairsein mein vidhan bhavan ki aadharshila rakhi jayegi.rajya ke mukhyamantri sri vijay bahuguna ne rajya isthapna divas per yah ghosana ki thi aur uske baad gairsein mein rajya cabinet ki bhi baithak ho chuki hei.in shaskiya gatividhiuon ne pahad ke vatavaran ko hachal se bher diya hei,vijay bahuguna ji ko is baat ka sreya to ja hi raha hei ki we pahle cm hein jinhaune pahad ki bhawnaun ko samjha hei aur us disha mein pahal bhi ki hei.isi beech manniya saansad satpal maharaj ji,vidhayak ganesh godiyal ,vidhan sabha adhyaksh kunjwalji aur jan pratinidhi aur afsaran ka lav lashkar gairsein ho aaya hei,bhumi bhi chinhit ki ja chuki hei.kunjwal saheb ne to yahan tak kah diya hei yah ek darshniya rajdhani aur vidhan bhavan hoga,jismein parvatiya vastu ka nayaab darshan hoga.maanniya kunjwal ji ke is bayan se pahad utsahit aur aashanwit hei,bhari sankhya mein log gairsein ko ek baar dekhne ja rahe hein aise samachar bhi mil rahe hein.
ab is baat ka sreya to congress ko jayega hi ki usne gairsein ki disha mein kaam shuru kiya hei jise rajya bante samay tale mein bund ker diya gaya tha ,yahan per uk vidhansabha ke adhyaksh sri gobind singh kunjwal ki tarif to karni hogi unhone jordar dhang se gairsein ko ttarakhand ki greeshamkalin rajdhani ki wakalat ki hei kam se kam saaf baat to kahi heilekin lagta hei ki parvatiya rajya ki avdharna ke virodhi fir sakriya ho uthe hein tabhi doon mein ek vidhan bhavan ke hote dusre ke liye zamin talashi ja rahi hei,ismein prapanch ki bu aati hei,pahad mein vidhan bhavan ke silanyas se pahle hi itni hightoba machane wale kaun hein ,pahad ko savdhan ho jana chahiye anyatha wahi haal hoga jo rajya bante wakat gale mada gaya,aaj bhi wahi nasoor uttarakhand ke hitaon ke khilaf jahar ugle ja raha hei. aab jab pahal ho chuki aur makar sankranti ke din iska sara khaka bhi samne aa jayega,uttrakhand ke log pahad ke durgam ilakaun mein rahne wale log ab kuch ummid kar sakte hein ki sahidaun ne jo kurbani di thi wah sapna falibhut hoga .gairsein ka sapna her pahadwasi ka sapna hei,jinke liye rajya sangharsh se hasil hua hei,pichle varshaun ka daur pahad ke saath thagi mein beet gaya lekin ab jaag ho gayee hei pahad mein,makar sankranti ke aitihasik din ko jab bageswar mein saryu ke bagad mein gobind b pantji ke netratva mein uttarakhand ne kulibegar ki kupratha ko nakaar diya tha,makar sankranti ka wahi pal 2013 mein fir se aa raha hei jab uttarakhand ki rajdhani gairsein ki sanrachna ka silanyas vartmaan sarkar karegi aur ek nayee lakir pahad ke vikas ki kheenchi jayegi.uttarakhand ke is sawal per hamari ekta aur ekjuta ka samay aaya hei,thagaun ko karo saavdhan farao uttarakhand ka nisaan.
RANK BAO,CHILUK JAGAO ANYAR BHAJAO
DHAD AIKE DHAD GAIRSEIN GAIRSEIN GAIRSEIN SAJAO.
------ PURAN MANRAL

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें